Raat ki chandni ko bhedkr subha k suuraj ne aahat ki hai,
Ye aankhein abhi bhi unke interzaar me khuli hain...
Taaron bhre aasman me panchiyon ne ronak ki hai,
Ye baatein abhi bhi unke zikr pe ruki hain...
Tanha sunsaan raahon par bhi kadmon ne harkat ki hai,
Ye saansein abhi bhi unki mehak se judi hain...
Ae waqt ke pehredaaro, kuch to ishaara de do, ab to murjhaaye phoolon par bhi bhawron ne dastak di hai,
Na jaane kyu jaage hain hum, ab to ilm bhi nahi ki zinda bhi hain, ya fir ye dhadkanein unke jaane pe thami hain....

No comments:
Post a Comment